gharelu treatment for soft skin
Bedag, chikni aur mulayam skin sbko hi apni taraf aakarshit karti hai. Aur aankhein bar-bar us par ja kar tikti hai.
Skin ki shi dekhbhal k liye jruri hai ki sbse phle yah jana jaye ki chehre ki skin kis tarah ki hai .chehre ki skin vishesh rup se samanya,dry, oily aur combination hai.
All types of skin
1.samanya(normal skin):-
Samanya skin me vishesh aakarshan,tajgi aur lalima hoti hai.
2.shusk skin (dry skin):-
Yah sukhi aur rukhi hoti h. Es par mosum ka parbhav jaldi padta hai.Aur es par jhuriya bhi jaldi padti hai.
3.tailiya skin(oily skin):-
Tailiya skin chikni, chider yukt aur chamkili hoti h. is par jaldi hi kil-muhase utpann ho jate hai.
4.mishrit skin (combination skin):-
Is tavcha mein shusk aur tailiya dono hi tarah ki tavcha k gun-avgun paye jate hai.Eski dekh bhal K liye shusk aur tailiya skin k mile jule upaye apnaye jate hai.
Gharelu treatment for glowing skin
1.coconut ka tel 1 chammch,kachche papite ka peste 4 chammch milakar chehre aur neck par lgaye aur 20 minute k bad dhande pani se chehre aur neck ko dho le !
2.khire ka ras hafte mein 2 bar chehre par malne se normal skin aakarshak bani rahti hai.
3.cotton ki sahayta se orange juice ko daily chehre par lagaye|isse skin ki dryness dur hoti hai.
4.nimbu ka ras half spoon, apple ka ras 2 spoon milakar tailiya tavcha par lgaye.
5. kachche dudh me 2 chammch besan dalkar peste bna le, es peste ko chehre par laga le,20 minutes bad gungune pani se dho le.
No comments:
Post a Comment
If you have any doubt, plz let me tell